UPTET : Filling of Application Form

UPTET : Filling of Application Form

Halanki How To Fill Form ke STEPS yahan deeye hue hain - http://upbasiceduboard.gov.in/BTCMANUAl/Trainee%20Teacher%20Recruitment%20ManualNEW%202012.pdf
To See Advertisement Details on BLOG, Visit - http://naukri-recruitment-result.blogspot.in/2012/12/uptet-new-advertiseent-based-on-acadmic.html
 Sabhi group member ek baar thoda samay nikal ke ek baar padh le. Aapke ke kaam aa sakti hai ye information : 1. Registration karne par jo Registration slip aati hai uska print jaroor karaye. Jo log apne laptop se form fill kare aur printer na ho to doc file par print screen se Registration Slip ki copy kar ke doc file par save kar le.Aur baad me print nikal le. 2. Registration karvane ke turant baad ya jab aap chae tab E-Challan ka print kar sakte hai. Aur registration ke 1 minute baad se lekar 28 Dec 2012 tak SBI me kabhi bhi fees jama kara sakte hai. 2 din ka wait yanha par nahi karna hai. 3. Fees jama karne ke 2 working days (Sunday ya holiday nahi count karna hai)ke baad aap kabhi bhi form ka last step Avedan form 31 dec 2012 ki raat tak online bhar de. 4. E- Challan ka adha part bank rakh lega aur adha part (Candidate Copy)aapko de dega. Vo counseling me dikhana padega. Bahut jaroori hai usko kisi bhi haal me khone na de. 5- SBI bank me fees jama karte samy : counter chhodne se pahle E-challan par likha gaya Bank Transaction No/Journal number me likhi gai digit check kar le ki vo aap padh pa rahe hai ya nahi. Becoj unki sahi digit Online last step me avedan karne se pahle likhvayega. Kuch babu ghasit kar bhi kabhi kabhi likh dete hai. 6- Fees jama karne se pahle (means Registration kar ke E-challan bank me jama karvane) tak aap ke paas sare documents hona jaroori nahi hai. Aap fees jama kar sakte hai aur jab aap ke sabhi document ban jaye to 31 dec 12 ke raat 12 baje tak apna Final avedan kar sakte ahi. 7- Har candidate saamnyatah 5-6 se jayada he form bharega. Form bharte samay baar baar type karne ki problem se bachane ke liye behatar hai ki aap pahle sara data Capital letter me Microsoft office ke doc file par jakar pahle type kar le aur ache se check kar le. Phir har form me vanha se copy paste karte jaye. Is se aapka samy, typing ki dikaat aur galti ke chance kam ho jayege. Lekin pahili doc file par sara data ache se janch le ki sab kuch sahi likha hai ya nahi . 8- Nivas praman patra online hai to koi dikkat nahi hai. Bas www.bor.up.nic.­in par record me chadhe hai ya nahi. Ye jaroor check kar le. 9- Agar aap ke paas 5 saal se pahle ka bina online vala nivas hai to naya banva le. 10- nivas me date ki galti ki problem sabse samanya hai uske liye pareshan na ho. Vo sahi mana jayega. 11- Agar marksheet/ certificate me koi number nahi hai to NA likhe. 12- Provisional 6 month se purani hai to nai banva le. Lekin agar aap ke paas agar purani hai aur nai nahi ban pati hai to bhi koi dikkat nahi aayegi. Bas counseling ke samy ek afdv par likh kar dena hoga ki 15 ya 30 din ke ander nai provisional banava key a final degree jama kar dege. 13- Jinko Final degree milne ka samay unki univ ke anusaar ho gaya hai. Vo final degree ke liye bhi avedan kar de. 14- Jin logo ne aaj tak Graduation ya B.Ed. ki na to degree le aur na he kabhi provisional. Vo provisional jaroor banva le. 15- 2012 vale bindaas aaply kare. Aisa knahi nahi likha hai ki aap eligible nahi hai ya aapka TET fake hai. 16- http://­upbasiceduboard.­gov.in/ par aavedan karna hai. Is par diye gaye परिषदीय प्राथमिक विघालयों में प्रशिक्षु शिक्षक के पद पर बी0एड योग्यpताधारी एवं टी0ई0टी0 उत्तीवर्ण अभ्य.र्थियों के नियुक्ति हेतु आनलाइन आवेदन भरने के दिशा निर्देश ke ander 1. सामान्य दिशा निर्देश ko bharne se pahle isko jaroor padh le. 17- facebook ya anya kisi aur mdhyam se agar aap kisi advice lete hai to usko tabhi mane jab vo aapko logical lage aur aapko uske mental level par bharosa ho. Anyatha kuch log aise bhi ho sakte hai jo fb par aapko galat ray dekar aapka form galat karva kar aapko merit ko low karne me shayak ho sakte hai.

Labels: ,



Leave A Comment:

Find us on facebook

Powered by Blogger.