UPTET- COMPULSORY DOCUMENTS FOR COUNSLING[imp]
Posted by आप और हम
on 17 January 2013
|
COMPULSORY DOCUMENTS FOR COUNSLING[imp] 1. 10th Marksheet & Sanad 2. 12th Marksheet & Sanad
3. Graduation Marksheet & Degree ya Provisional Certificate (Jisne
bhi abhi ek bhi provisional nahi banvaya hai. Counseling se pahle banva
le ) 4. B.Ed. Marksheet , Degree ya Provisional Certificate &
NCTE approval letter (Jisne bhi abhi ek bhi provisional nahi banvaya
hai. Counseling se pahle banva le ) 5. TET 1-5 Certificate (Jisne abhi tak nahi liya hai turant apne Mandal ke JD Office se le le) 6. Nivas Praman Patra (Nivas Praman ptra satyapan ke liye click kare http://bor.up.nic.in/ppsatyapan/satyapan.aspx jinka parman patra upar diye aye link par na ho vo http://edistrict.up.nic.in/certificate/certVerify.aspx is par bhi check kar le.) 7. Caste Certificate (OBC/SC/ST ke liye)( satyapan ke liye click kare http://bor.up.nic.in/ppsatyapan/satyapan.aspx) 8. Viklang Certificate (Physical Handicap students only)(CMO Office se bana hua) 9. Notry se bani 10 rs ke stamp par 2 sapth jo Vigyapan ke page number 16 ke praroop par honi chahiye. (Vakil/Vendor ko paise dekar banava le )
10. Registration Slip, E challan ki student copy & Avedan ka Print.
(Kho gai hai to Edit kar ke banva le. jo person meri tarah Computer me
farji kaam karne me expert ho uski sahayata le. Duplicate Banate samay
sabhi technical baato ka dhyan rakhe. Kisi kam IQ vale person ka istemal
na kare) 12. 4 Passport size photo jo Avedan me lagai hai. (Same
photo ki jaroorat padegi extra 8-10 aur rakh le. Shaadi me bhi kaam aa
jayegi) 13. Original Pahchan patra Jo Avedan me mention kiya hai.
(GO ke anusaar vahi ID chahiye jo aapne form me likhi hai. Kho jane ke
case me DIET se jakar is matter ko puchh le) 14. Upar diye gaye
sabhi documents ki 2-3 Set attested photocopy set. (4 set banava le to
bahtar hai. 2 set Gustted adhikari se attest kara kar rakh le. 2 set
blank rakhe. Agar Self maange to khud aapko sign karne me kitni der
lagegi. Lekin counseling ke samay gusted adhikari ek dam se milna muskil
hota hai. Gustted adhikari ya principal se attest 2 set jaroor rakhe )
15. Ek plastic document bag jisme rakh kar apne certificate DIET me
jama karege. (Plastic document bag aisa le jiske ander aapki sari degree
aur marksheet band ho jaye. Kuch DIET UP me to jangal me basi hai janha
aas paas stationary ki dukaan bhi nahi hai. Isliye 15-20 rs kharch kar
lejiyega pahle he) Vaise iske baad shayad aapko koi confusion na rahe. Agar phir bhi koi baat clear karni hai to www.uptetinfo.wapka.mobi
par jaker click kare. Us par Inquiry ke liye apni mail id aor msg box
me apni problem likh kar send click kar dejiyega. Aapka Saval mujh tak
pahuch jayega aur jald he uska reply aapko mil jayega. Ye sabhi
suchanaye meri apni jaankari ke anusaar hai. Aap bhi apne ister jankari
kar le becoj I am not any official person.
|
Labels: upsbtc, uptet
Check here for all latest updates for UPTET Admit Card like when it comes and how to download it.
UPTET Admit Card 2018